Buscar

Páginas




Aaj ye ab likhne ke baad mujhe pakka Mona se maar padegi.. but aaj main maar kha lunga.. aaj likhne se mat rokna..

Do sides hain mona ke equally interesting and intriguing.. Its like curious case of Mona.. well its not a case actually.. Its a wonderful human being on the planet jisko bhagwaan ne bade time mujh se chupa kar rakha and finally milwa diya... Two sides ke baare mein batata hun.. Well ek side wo hai jo hum yahan comm mein dekhte hain... Us side ko dekhne ke baad to mera dil hi aa gaya tha in par... Wo endless baatein wo hamara 8 baje milna inka mujhse puchna missed me or not and mera inse puchna khana khaya ki ni etc. Ye choti-2 baatein jinhone hum dono ko itna close lakar khada kar diya... Aur aaj exactly 2 months and 5 days baad bhi hum waise hi hain.. Ye jo chulbula side hum comm mein dekhte hain na iske liye to Mona famous hai... She knows her limits.. and she is damn good at doing what she does.. Shayad main wo pehla lucky ladka hun inki life mein jinse inhone khud baat start kari when I entered the comm aur mujhe ni pata tha ki wahan se yahan tak ka safar memorable ho jayega..

dusra side Mona ka jo hai na wo dekh kar inhe salute karne ka mann karta hai..Professional, frank, no attitude and hell lot of patience.. Patience waali baat par she wont agree.. Ye side jo hai na this makes her successful in all the aspects of life... She has been doing it so well na that nobody can make out ki itni natkhat Mona itni serious bhi ho sakti hai.. Life ko inhone apni terms par jiya hai and zabardast jiya hai...Wo title inhe suit karta hai "Walking Tall"... darna inki dictionary mein nahi hai... help karne ke liye Mona ko kisi bhi kone se aawaz maaroge na to ekdum se aa jayegi without thinking for a second... Wo jo inke andar care waali baat hai na wo shayad kisi mein na ho.. Gazab caring hai... Jo close hain na inke wo ye sab bahut ache se jaante hain.. 





0 comments:

Post a Comment